Vishal Mishra, Hansika Pareek & Raj Shekhar - Tum Ho Toh

Tum Ho Toh

Vishal Mishra, Hansika Pareek & Raj Shekhar
null

In haathon mein jab se haiAaya ye haath tumhaaraJaise dariya ki halchal koMil jaaye koi kinaara

Tumhaare sang aawargi bhiAawargi bhi deti hai jaise sukoonTumhaare sang har ek lamhaHar ek lamha yaadein nayi main bunoon

Tum ho to subah nayi hai, tum ho to shaamein hasin hainEk duniya sapnon si hai, tum ho to is pe yaqin haiTum ho to sab achha hai, tum ho to waqt thama haiTum ho to ye lamha hai, tum ho to is mein sada hai

Tum ho to is lamhe mein sada hai

Tum mile in dardon mein raahat ban keTum mile ik sufi ki chahat ban keMain kya kahoon, koi lafz hi qabil nahin haiPar mujh ko itna hai pata

Tumhaari in aankhon se saareAankhon se saare le loon andhere tereMeri jaan, abhi baanTenge mil keBaanTenge mil ke saare savere mere

Tum ho to dhoop hai maddham, tum ho to chhaav hai hardamTum ho to haq mein hain mere aate-jaate ye mausamTum ho to sab achha hai, tum ho to waqt thama haiTum ho to ye lamha hai, tum ho to is mein sada hai

Hum na jaane, aise hum kab hanse theHum aise hi besabab jee rahe the

Meri ye duaaein sun li kisi neLagta hai, sach mein Khuda haiAise to koi bhi milta kahaan haiJaise mujh ko tu mila

Tumhaare sang jo bhi mila haiAb ek pal bhi khona nahin hai mujheTumhaare sang raato mein jag keDekhoon tumhe bas, sona nahin hai mujhe

Tum ho to sab achha hai, tum ho to waqt thama haiTum ho to ye lamha hai, haan, is mein hi to sada hai

Tum ho toJo tum ho to, jo tum ho toTum ho to tum hi tum ho